Sunday, 8 December 2013

MEIN AUR SHAITAAN

Jannat ki deevaar pe charrh ker mein aur shaitaa’n dekh rahay thay
jo na kabhi ham ne dekha tha; ho kay hairaa’n dekh rahay thay

waadi-e-jannat kay baagho’n main; uff tobah ik hashr bapa tha
shaitaa’n ke honto’n pe hansi thee; mera kaleja kaan’p raha tha

mein na kabhi bhooloo’n ga tobah; mein nay dekha jo nazzaara
laa’nat! laa’nat! bol raha tha; jannat ka har manzar pyaara

motay motay paito’n waalay; bad-soorat bad-hay’yat mullah
sehmi hui hooro’n ke peechhay; bhaag rahay thay keh ke haha!

bach ke kahaa’n jao gee? keh ke; woh deewaanay naachtay gaatay
chaaron taraf se ghair ke un ko; hanstay kuud’tay shor machaatay

dar ke cheekhai’n maar rahi thee’n, hoorain reshmi sarrhiyo’n wali
un ke dil dhak dhak kertay thay; dekh ke shaklai’n daarhiyo’n wali

main aur shaitaa’n lab-ba-dua thay, ae allah bachana in ko
apni rehmat ke parday mein ai ma'bood chhupana in ko

Raja Mehdi Ali Khan, 1960

No comments:

Post a Comment